na chehra hi badalta hai na wo tewar badalta hai wo zalim sirf apne hath ka patthar badalta hai kai tabdiliyan hoti hain insanon ki basti mein parinda koi dekha hai jo apna ghar badalta hai jo hum ne apni aankhen phenk di hain us ke qadmon pe so apni aankhen har ek gam par dilbar badalta hai chamak uthte hain aansu meri palkon ke kinaron par phir is ke baad achanak khwab ka manzar badalta hai main jab bhi phul us ki yaad ke gulshan se chunti hun to 'bina' karb mera rang ka paikar badalta hai