na de fareb-e-wafa le na imtihan apna hai be-niyaz-e-karam yar-e-bad-guman apna pahunch chuke the sar-e-shakh-e-gul asir hue luta hai samne manzil ke karwan apna har ek zarra-e-alam hai aur sajda-e-shauq rakhen utha ke wo ab sang-e-astan apna wahi hai aalam-e-afsurdagi wahi hum hain khushi ka jis mein guzar ho wo dil kahan apna nigah-e-yas hai tafsir-e-sad-hazar niyaz sukut lakh bayanon ka ek bayan apna fareb hi sahi taskin kuchh to hai dil ko rahe khuda kare qaem yunhi guman apna wafa ka nam hi duniya se uth chuka 'kaifi' kahan zamane mein ab koi qadr-dan apna