na ho zikr hijr-o-visal ka dil-e-mubtala use bhul ja

na ho zikr hijr-o-visal ka dil-e-mubtala use bhul ja
jo kabhi giraft-e-wafa mein tha wo kahan raha use bhul ja

koi karb-o-shauq-e-visal mein raha umr-bhar ajab haal mein
kisi aur ka wo nasib tha so nahin mila use bhul ja

nai ulfaton ke khumar mein kisi bewafa ke wo pyar mein
tujhe ratjage jo ata kiya wo chala gaya use bhul ja

jo mohabbaton ka jamal tha wo munafiqat mein kamal tha
wo bura sahi ya bhala sahi jo kaha suna use bhul ja

mere roz-o-shab hi badal gae tere gham ke sanche mein dhal gae
mere dil se aai yahi sada use bhul ja use bhul ja

wo chala gaya tujhe chhod kar tu bhatak raha hai gham odh kar
jo tha tere dil ke qarib-tar tera wahm tha use bhul ja

ai 'nawed' waqt ke ghaw se ye mohabbaton ke alaw se
jahan zakhm tujh ko mile naya wahan muskura use bhul ja


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close