na jaane kab ji tumhaara bahle main tang tum se ab aa raha hun ki jitne qisse bane nahin the ziyaada us se suna raha hun bada hi dushwar hai safar mein bharosa qaem banae rakhna tamam dhoke wo kha raha hai tamam dhoke main kha raha hun yun bhole ban ke bhi kya karoge chalo sikhate hain ek chaalaki mujhe badan tum hi apna de do badan main de ke hi aa raha hun jo dekhna hai to dekh hi lo hai kitni aasan ye mohabbat wo mujh se pichha chhuda rahi hai main us se pichha chhuda raha hun likhi gai hai nai ibarat wo sara qissa ajib hi hai sunaen qissa ki jaane den hum suna raha hun suna raha hun jo tum sunoge to bor hoge tawil hai ye hamara qissa tawil qisse ko kar ke chhota mita mita ke suna raha hun jo raaz khole to dekh lena hai tum se hum ko wafa ki ummid wo baat meri bata raha hai main baat us ki bata raha hun han tum ko mujh se nahin rahi hai wo pahle jaisi hasin mohabbat tum apna hissa nibha rahi ho main apna hissa nibha raha hun na jaane kitni hi bar main ne tha tum ko ullu banae rakha yaqin karoge yun tum bhi kab tab chalo main qissa suna raha hun to bachche kar ke ye faeda hai yaqin barabar bana hua hai wo kha rahi hai tamam qasmen tamam main bhi to kha raha hun na jaane kya hai jo jal rahi hai kahin ye apni hi chiz to nain kya aag dil mein laga rahe ho han aag dil mein laga raha hun ye baat tum ne bhi sun rakhi hai ki koi hum ko hai takta rahta tabhi chhupa ke rakhi ho hum ko tabhi main tum ko chhupa raha hun jo aag hoti hai tanha rahne ki aag wo tum wo laga rahe ho khuda kabhi to sunega meri khuda ko apne bula raha hun hai baat karna hi kaam mera to kaam ki baat kya hi hongi batani thi yar ye shurua mein lo ja ke ab main bata raha hun chhadi hui hai wo jang apni ki kaun jita ki kaun haara wo mera parda gira raha hai main us se parda hata raha hun