na jaane kaun hai aur kis ke intizar mein hai wo ek shakhs jo barson se rahguzar mein hai kahan ye baat teri fath-e-shandar mein hai jo baat dost meri maslahat ki haar mein hai jo dekhun jaanib-e-gulshan bhi main to kya dekhun jo tu nahin hai to kya mausam-e-bahaar mein hai andhere ho gae raushan zaban pe aate hi wo aaftab ki tasir zikr-e-yar mein hai ye tera wahm ki tu be-sukun nahin ai dost sharik meri tadap bhi tere qarar mein hai baghair nam liye bhi pukar kar dekha kisi ka nam barabar meri pukar mein hai gham-e-hayat se raunaq hayat ki hai 'nasib' ki phul phul hai jab tak hujum-e-khar mein hai