na kar pae dushman bhi jo dushmani mein kiya hai rafiqon ne wo dosti mein buzurgon se paya hai ye raaz hum ne hai jine ki lazzat faqat sadgi mein abas hai ibaadat abas is ka taqwa agar aadamiyat nahin aadmi mein falak tak agar tu gaya bhi to kya hai bahut fasla hai abhi aagahi mein zamane ko ab koi kaise batae badi tirgi hai nai raushni mein bahadur mara ek hi bar 'laghar' kai bar buzdil mara zindagi mein