na khak-e-khushk ke thahre na shakh-e-tar ke rahe hum apne ghar se uthe kya ki dar-ba-dar ke rahe hamari fikr bhi ek daere mein qaid rahi charagh bhi jo hue hum to ek bhanwar ke rahe wo log the jo kahani ke markazi kirdar wo harf-harf jiye khwab khwab mar ke rahe shikastagi thi muqaddar badan the shishe ke zara si thes bahana hui bikhar ke rahe lahu ki lahr uthi thi ki sar se guzregi chadhe the kitne samandar magar utar ke rahe hawa ke sath hi ho len ye tajraba bhi sahi simat simat ke rahe jis qadar bikhar ke rahe chalo kahin piyen baithen ghazal sunaen sunen ye masale to mere dost umr-bhar ke rahe