na khona aur na pana chahiye tha mujhe kuchh darmiyana chahiye tha mere aage the duniya ke sawalat tumhein hi aage aana chahiye tha mile bebak jaise kuchh nahin ho zara sa hichkichana chahiye tha ghazal main kah chuka tha jab tum aae tumhein matlea mein aana chahiye tha samay ke sath bhar jata hai har zakhm samay se bhag jaana chahiye tha khaton ka kya tha bah jate nadi mein tumhein to bas bahana chahiye tha