na koi naqsh na paikar sarab chaaron taraf tamam dasht asir-e-azab chaaron taraf masih-e-waqt ab aae to bas khuda aae payambaron ki zamin aur azab chaaron taraf main bichon-bich khada hun sulagte jangal mein hisar bandhe hue aaftab chaaron taraf hamare nam likhi ja chuki thi ruswai hamein to hona tha yun bhi kharab chaaron taraf fasil-e-dard se yaadon ki dhup dhalti hui bikharte tutte rangon ka khwab chaaron taraf 'mujibi' kam nahin 'fikri' ki dosti ki panah agarche dushman-e-jaan be-hisab chaaron taraf