na manzilon ko na hum rahguzar ko dekhte hain ajab safar hai ki bas ham-safar ko dekhte hain na puchh jab wo guzarta hai be-niyazi se to kis malal se hum nama-bar ko dekhte hain tere jamal se hat kar bhi ek duniya hai ye ser-chashm magar kab udhar ko dekhte hain ajab fusun-e-kharidar ka asar hai ki hum usi ki aankh se apne hunar ko dekhte hain 'faraaz' dar-khur-e-sajda har aastana nahin hum apne dil ke hawale se dar ko dekhte hain