na-mehrban hai tu to koi mehrban bhi hai

na-mehrban hai tu to koi mehrban bhi hai
hai jis jagah zamin wahan aasman bhi hai

tabdil kar ke dekh nigahon ke zawiye
jo teri aankh mein hai wo manzar yahan bhi hai

yun hi to rabton mein nahin hai khinchaw sa
hum hi nahin hain aur koi darmiyan bhi hai

mil hi gaya hai jab to mohabbat se baat kar
warna ye dhyan rakh mere munh mein zaban bhi hai

us raat ke idhar bhi hai ek subh ka wajud
mera yaqin bhi hai ye mera guman bhi hai

meri ghazal mein sirf ghazal ki faza nahin
lafzon ki kaenat mein dil ki zaban bhi hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close