na nawazishon ki hai aarzu na teri jafa ka malal hai tu nazar se apni gira na de yahi ek dil mein khayal hai tujhe jaan-e-mehr-o-wafa kahen tujhe aks-e-shan-e-khuda kahen tujhe kya se kya hai bana diya ye meri nazar ka kamal hai hai usi se ruh mein tazgi yahi qalb-o-jaan ki hai raushni tu khuda-ra tark-e-sitam na kar meri zindagi ka sawal hai teri rah mein teri chah mein ye maqam kaun sa aa gaya ki khushi ki mujh ko khushi nahin na malal hi ka malal hai wo nazar kisi ki jhuki jhuki wo hansi kisi ki ruki ruki kise pas-e-zabt ka hosh hai kise guftugu ki majal hai kabhi rote rote hansa diya kabhi hanste hanste rula diya teri yaad hi se hai har khushi tere zikr hi se malal hai