na suno mere nale hain dard-bhare dar-o-asare aah-e-sahare tumhein kya jo koi marta hai mere ai dushman-e-jaan be-dad-gare teri surmagin aankhon ke sadqe inhen chhed na panja-e-mizhgan se abhi zakhm-e-jigar hain tamam hare ai mahw-e-taghaful be-khabare liya ishq mein jog bhikari bane tere naqsh-e-qadam ke pujari bane kabhi sajde kiye kabhi gird phire but sim-bare zarrin-kamre jo tu ne hazaron wade kiye lekin wo kabhi ifa na hue dil hi hain rahe arman mere ai wada-shikan but hila-gire 'bedam' kahen kya kis tarah rahe mar mar ke jiye ji ji ke mare dar-manzil-e-ishqash dar-badare majnun-e-shorida-sare