na to hum bahr se waqif na sukhan jaante hain kaise den lafzon ko tartib ye fan jaante hain wo kisi taur bhi tujh ko na lagaenge gale ai khushi jo bhi tera chaal-chalan jaante hain dil ke mandir mein hain do ek pujari aise jo na puja na ibaadat na bhajan jaante hain is liye tham ke rakkha hai junun ka daman ai khirad hum tera diwaliya-pan jaante hain jo mohabbat ke hain alfaz mere honton par wo tassub ka tere chir-haran jaante hain panw phailate hain itna ki hai jitni chadar apni auqat hai kya khub apan jaante hain