na wo nalon ki shorish hai na ghul hai aah-o-zari ka

na wo nalon ki shorish hai na ghul hai aah-o-zari ka
wo ab pahla sa hangama nahin hai be-qarari ka

talab kaisi bulana kya wahan khud ja pahunchte hain
agar aalam yahi chande raha be-akhtyari ka

wahan wo naz-o-ishwe se qadam gin gin ke rakhte hain
yahan is muntazir ka waqt pahuncha dam-shumari ka

kabhi chashm-e-khumar-alud ki masti nahin dekhi
baja hai hazrat-e-naseh ko dawa hoshiyari ka

bhala kya aisi roti shakl pas aa kar koi baithe
uthe aakhir wo jhunjhla kar bura ho ashk-bari ka

ajab kya hai ki qasid bhul jae us ka le jaana
likhun jis name mein shikwa teri ghaflat-shiari ka

misal-e-nakhl dekha hai usi ko phulte-phalte
kiya jis shakhs ne hasil tariqa khaksari ka

har ek shai ka hai andaza magar payan nahin hargiz
teri ghaflat-shiari ka meri ummid-wari ka

zi-bas aankhon mein rangat chha rahi hai lala-o-gul ki
khizan mein lutf aata hai hamein fasl-e-bahaari ka

kabhi sar panw par rakhna kabhi qurban kah uthna
hamein thoda sa dhab aata to hai matlab-barari ka

chhupa kal gosha-e-mai-khana mein 'majruh' ne dekha
yunhi shohra suna tha shaikh ki parhez-gari ka


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close