nae charagh nai raushni ata karte

nae charagh nai raushni ata karte
agar purane diye un se kuchh wafa karte

main zindagi tere ehsan mein daba hi raha
ek umr guzri tera qarz bhi ada karte

tujhe bhi aate musafir salam manzil ke
ba-sad-khulus jo tere qadam utha karte

khudi pasand anasir hayat ki khatir
jo ehtijaj na karte to aur kya karte

samajh se kaam jo leta har ek bashar 'taban'
na haha-kar hi machte na ghar jala karte


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close