nae jaziron ki hum ko bhi chahaten thin bahut hamari rah mein lekin riwayaten thin bahut kahin bhi aag lage us ka nam aata hai use charagh jalane ki aadaten thin bahut kisi ka lahja yaqinan fareb lagta tha magar fareb ke pichhe sadaqaten thin bahut andhere zakhm masail dhuan lahu aansu ganwate hum bhi kahan tak wirasaten thin bahut wo jis ki guftugu phulon ka istiara thi khamoshiyon mein bhi us ki fasahaten thin bahut utara jata tha sadqa hamari jaan ka bhi hamare dam se bhi mansub chahaten thin bahut bahut samajhte hain thode likhe ko hum 'shadab' hamare waste ek do shikayaten thin bahut