nae khwabon se dar lagne laga hai ye rasta pur-khatar lagne laga hai ye kaisa daur aaya be-hisi ka mujhe zindan ghar lagne laga hai bichhad jaega tu mujh se kisi din na lagta tha magar lagne laga hai zara dekho meri sada tabiat ki qatil chaaragar lagne laga hai safar mein ham-safar tum kya hue ho safar ab mukhtasar lagne laga hai 'khalil' us se tumhein nafrat thi lekin tumhein kyun mo'atabar lagne laga hai