nafas nafas mein rawan iztirab ka mausam kahan se lata main taza gulab ka mausam safar mein dhup se jalta raha badan apna thakan se chur raha mahtab ka mausam nigahen dhundhti rahti hain manzilen apni sukut-e-shab mein nihan inqalab ka mausam ragon mein daudte phirte hain kaif ke naghme namaz-e-shauq mein namnak khwab ka mausam faraaz-e-dar pe latki hai zindagi 'azad' meri hayat bhi thahri azab ka mausam