nahin hai pas magar tu dikhai deta hai

nahin hai pas magar tu dikhai deta hai
tera khayal mujhe kab rihai deta hai

tere labon se ada ho agar koi jumla
mujhe wo sher ki surat sunai deta hai

mera guman badal jata hai haqiqat mein
baghair puchhe jab apni safai deta hai

ghata bhi de ye judai ka be-samar mausam
bhala tu kyon mujhe zakhm-e-judai deta hai

qarib aa ke faqat ek fikr lahaq hai
wo dil tak apne mujhe kab rasai deta hai

mere rafiq mere gham-gusar tu hi bata
har ek chehre mein wo kyon dikhai deta hai

meri kitab ki koi ghazal utha le tu
har ek sher ka misra duhai deta hai

jo meri mane to 'farrukh' use bhula de ab
wafa ke badle mein jo bewafai deta hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close