nahin malum jine ka hunar kaisa rakha hai

nahin malum jine ka hunar kaisa rakha hai
hamein haalat ne jaise rakha zinda rakha hai

meri pagal tabiat ka hai koi pair na sar
nahin dariya mila to aankh mein sahra rakha hai

tumhein jis samt se aana hua be-khauf aana
tumhaare waste chaaron taraf rasta rakha hai

mere jaisi udasi shahr mein kis ko mili hai
mera jaisa kisi ne kab bujha chehra rakha hai

wo jitne bhes badle main use pahchan lungi
ki main ne aankh mein us shakhs ka naqsha rakha hai

tumhaare wasl ki iftari aae ya na aae
magar main ne tumhaare hijr ka roza rakha hai

kisi ke hijr mein bhuli hun baqi rang sare
meri almari mein har suit ab kala rakha hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close