nakhuda ki mushkilen aasan kar jata hun main apni kashti aap jab tufan se takraata hun main un ka har ek qaul aksar be-amal pata hun main nasehon ki baat ko khatir mein kab lata hun main kis qadar hai na-rasa mera muqaddar dekhiye ain manzil ke qarib aa kar bhatak jata hun main har balae-e- na-gahan mera muqaddar ban gai har bala se khud ko ab mahfuz-tar pata hun main jab mohabbat jaan thi iman thi wo din gae ab mohabbat ke tasawwur se bhi ghabraata hun main be tere jo kuchh guzarti hai mere dil par na puchh zindagi ko maut ke nazdik-tar pata hun main main teri baaton mein aa kar be-sar-o-saman hua ab magar ai dil teri baaton mein kab aata hun main muddaten guzrin ki dil ne ki thi un ki aarzu aaj tak dasht-e-talab mein thokaren khata hun main zindagi mein rang-o-bu ne kis qadar dhoke diye is pe bhi aasi fareb-e-rang-o-bu khata hun main