namkin harf hai mera ye fasih kullo shain minal-malih malih wa qina rabbana azabannar shama ki hai hamesha ye tasbih laminal-maa kullo shain hay sharb-e-mai se hua hai mujh ko sahih mislahu laisa wahidun gharra mah-e-kanan bhi tha agarche fasih ji mein aawe so kah tu 'taban' ko laisa min fika shatamna be-qabih