naseh-e-mushfiq ye mashq-e-taza farmane lage

naseh-e-mushfiq ye mashq-e-taza farmane lage
din to tha ab raat ko bhi aa ke samjhane lage

hazrat-e-wais kahin daulat-sara ko jaiye
aate hi saman-e-mahshar aap dikhlane lage

aa gae jab yaad kuchh us rabt baham ke maze
dil bhar aaya dida-e-tar ashk barsane lage

phir subu undle bhare shishe hue labrez jam
laghzish-e-pa apni apni mast dikhlane lage

baghban hushiyar ho mushtaq-e-rukhsat hai bahaar
rang badla gulistan ka phul murjhane lage

jalwa-ha-e-husn chamke uth gae munh se naqab
turra-e-gesu ke baham sanp lahrane lage

hath utha ai chaaragar darman-e-be-tasir se
ja-e-ashk aankhon se ab lakht-e-jigar aane lage

khub roe dekh kar hum zewar-e-diwangi
jab ahibba panw mein zanjir pahnane lage

bhtiyan raushan huin chamki dukan-e-mai-farosh
rukhsat-e-tauba hui zuhhad ghabrane lage

fasl-e-gul aai badhe josh-e-junun ke walwale
di sada zanjir ne phir panw khujlane lage

mane-e-matlab hui wo sharam baham ai 'nasim'
wo ruke apni taraf hum aap sharmane lage


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close