naseha aaya nasihat hai sunane ke liye

naseha aaya nasihat hai sunane ke liye
ya ki aaya hai yahan tere satane ke liye

aa ke lashe pe mere wo aabdida gar hua
ye bahana aansuon ka hai bahane ke liye

tum jo kahte ho ki kya wo aisi jaldi mar gaya
kya hain barson chahiyen ek jaan jaane ke liye

kya hua gar maut aai hai wo aane ke liye
kya hua gar jaan gai hai wo bhi jaane ke liye

hai faqat parhez ye kah do mariz-e-ishq se
pine ko khun-e-jigar hai gham hai khane ke liye

munh mein zahid ke bhi hain do dant hathi ki tarah
ek dikhane ke liye hai ek khane ke liye

kaun hai zer-e-falak phirta hai jo apni khushi
phir rahe hain sab jahan mein aab-o-dane ke liye

pet ke gham ne kiya hai sab jahan ko muntashir
bap se beta juda hai aab-o-dane ke liye

jalwa bakhsha wo mujhe tere rukh-e-pur-nur ne
tur par musa gaya tha jis ke pane ke liye

dekh kar aaya hai naseh kya jahannam ka azab
hain faqat ye jahilon ka dil darane ke liye

rah gaya apna kaleja tham jallad-e-falak
jab uthaya us ne khanjar khun bahane ke liye

aab to dete ho khanjar ko magar ye soch lo
khun mera chahiye us ko bujhane ke liye

wada aashiq se na ho sachcha to jhuta hi sahi
chahiye kuchh to tasalli dil badhane ke liye

munh na dekha aish ka tadbir hum ne lakh ki
gham ghatane ke liye farhat badhane ke liye

jab kaha main ne ki kyun baaten banate ho bahut
hans ke bole baaten hoti hain banane ke liye

ai dil-e-nadan nahin daulat dabane ke liye
kharch kar us ko wo hai khane khilane ke liye

jab kaha mera faqat hai ek bose ka sawal
bole daulat husn ki kya hai lutane ke liye

hai bulaya 'mashriqi' ko tum ne jo pesh-e-raqib
kya nikala tha ye nuskha dil dukhane ke liye


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close