naseha tu hi bata kya ye KHayal achchha hai

naseha tu hi bata kya ye khayal achchha hai
tair-e-dil ke liye ishq ka jal achchha hai

dar-ba-dar the hi pe ab ishq ne pagal bhi kiya
nim-jaan phirte ho kahte ho ki haal achchha hai

shamil-e-fitrat-e-adam hai azal se hi khata
sau khataon pe jo karta hai malal achchha hai

main ne puchha tha ki phir wasl mayassar hoga
us ne bas itna kaha tha ki sawal achchha hai

kaam aaya kisi mazdur ke indhan ban kar
sang-e-nayab se raihan-e-ghazal achchha hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close