nashat-e-naghma bhi hai masti-e-khumar bhi hai tere jamal mein ranai-e-bahaar bhi hai nigah-e-naz ki mahjub sehr-agini adab-nawaz bhi hai shokh-o-sharmsar bhi hai surur-o-sukr ka aalam ajib aalam hai ki khwab-o-khamr bhi hai shoala-o-sharar bhi hai teri adaon ki khu-e-ramidgi wallah hai ek raaz ki pinhan bhi aashkar bhi hai sitam hai sadgi-e-chashm surma-sa jis mein wafa ka loch mohabbat ka eatibar bhi hai ek iztirab ek ehsas-e-tishna-kaami ka tere huzur mein haijaan bhi qarar bhi hai saba wo sarw-e-rawan gar mile to kah us se kisi ko sham-e-alam tera intizar bhi hai tu mere khanda-e-masrur-o-mutmain pe na ja ek aarzu mere pahlu mein sogwar bhi hai kise bataun garan-jaan hai is qadar 'khalid' ki ain aalam-e-masti mein hoshiyar bhi hai