nashat-e-sahra-nawardi ka haal bolta hai hamara shauq hamin ko nidhaal bolta hai uruj-e-dilbari hasrat se dekhne wale wo sun jo silsila-e-paemal bolta hai ye kya sitam hai ki ab us ka samna hoga jo lab hilae bina bhi kamal bolta hai bhanwar ko ek kinara samajh raha hun main kisi ke hone ka kya ehtimal bolta hai zamane bhar ko main dil se nikal deta hun zamana jab tujhe dil se nikal bolta hai haqiqi aankhon se dekha gaya hai ye manzar mere sukut se tera khayal bolta hai abhi na dekhenge hum aane wale kal ki taraf abhi to guzre zamanon ka haal bolta hai