nashe mein ye kya samajh liya tha khuda ko banda samajh liya tha zara si chup thi usi ko tum ne na jaane kya kya samajh liya tha hasin tha wo is qadar ki hum ne nazar ka dhoka samajh liya tha main aisa pagal diya tha jis ne hawa ko apna samajh liya tha hum us ke dil tak pahunchte kaise badan ko rasta samajh liya tha use yun chhoda ki us ne hum ko bahut ziyaada samajh liya tha hum apni ghalati se bik gae hain tumhein zulekha samajh liya tha hamari sada-dili to dekho khuda ko apna samajh liya tha milan judai tadap udasi ye khel sara samajh liya tha tumhaari aankhen samajh na pae har ek muamma samajh liya tha lab us ne khole nahin the phir bhi jawab us ka samajh liya tha wo aankhen kaba sifat thi jin ko sharab-khana samajh liya tha