naw dariya mein chale samne manjdhaar bhi ho

naw dariya mein chale samne manjdhaar bhi ho
dub jaane ke liye har koi tayyar bhi ho

kaise rokega safar mein koi rasta jab ki
dil mein ek josh bhi ho panw mein raftar bhi ho

sari ummiden isi ek sahaare ki taraf
na-umidi ke safar mein wahi diwar bhi ho

har taraf se nae ilzam ki barish mujh par
apne hone ka ye ehsas-e-gunah-gar bhi ho

jis dua ke liye wo raat kati aankhon mein
wo dua khud se guzar jaane ka aazar bhi ho

fatiha apne gunahon ka bhi padhta hai 'zafar'
zinda ehsas ke ho jaane se bezar bhi ho


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close