naya fusun hi dikhaen koi zamane mein charagh mujh mein jalen main charagh khane mein dhuan dhuan si faza se guzarne wale log ajib shaghl ke malik hain aashiyane mein main ikhtilaf nahin kar raha magar mujh ko nazar na aaya koi dida-war zamane mein ghubar-e-rah se niklega shahsawar-e-khayal use bhi shamil-e-kirdar rakh fasane mein khud apni gard se atti hai chashm-e-khwab-asar so mere hath kate aaina uthane mein samundaron se ilaqa nahin magar 'jawed' ye hum jo kharch hue kashtiyan banane mein