naya lahja naya manzar naya pindar ho paida mere naghmon se aisi raunaq-e-gulzar ho paida yahi tha maslahat-andesh mausam ka taqaza kya sada-e-khamushi se ek nai guftar ho paida bikhar jata hai sab shiraaza-e-amn-o-sukun aakhir agar basti mein koi aadmi khun-khwar ho paida kahan bardasht ho sakta hai ye mujh se kisi surat samar pakne se pahle hi koi haqdar ho paida hamesha chhedta hun saz apne kohna zakhmon ka mere dil ke bayaban mein koi gulzar ho paida yahi main chahta hun ai ghazala dasht-o-sahra mein ki ab mere junun se garmi-e-bazar ho paida mazamin ghaib se aate nahin 'atish' to kya kachche kahan se sher koi bhi mera tah-dar ho paida