nayan mein KHun bhar aaya dil mein Khaar-e-gham chhupa shayad

nayan mein khun bhar aaya dil mein khar-e-gham chhupa shayad
hua is dam wo tegh-abru kisi se aashna shayad

gale lagta tha har gard-e-hawa-awurd se majnun
ki khak-e-kucha-e-laila le aai ho saba shayad

qayamat pa-namak hai ghul diwanon ka gulistan mein
unhon ke zakhm-e-dil par shor-e-bulbul ja gira shayad

hamare hath ek mu gai nain aur pech khati hai
wo dam-e-zulf mein taza shikar-e-dil phansa shayad

bahut munh par wo zulfen aaj bikhraata hai ai 'uzlat'
wo galon par kisi ka zakhm-e-dandan hai laga shayad


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close