naz kar naz ki ye naz juda hai sab se mera lahja meri aawaz juda hai sab se juz mohabbat kise malum ki wo chashm-e-haya baat to karti hai andaz juda hai sab se jis ko bhi mar diya zinda-e-jawed kiya harf-e-haq tera ye eajaz juda hai sab se dekhna kaun hai kya us ko nahin jaan-e-aziz sar-e-darbar ek aawaz juda hai sab se tut jata hai to sur aur bhi lau dete hain dil jise kahte hain wo saz juda hai sab se soch kar dam bichhana zara ai mauj-e-hawa mere inkar ki parwaz juda hai sab se nashsha-e-dahr-o-qayamat ka to kya zikr 'umid' wo mera sarw-e-sar-afraaz juda hai sab se