nazar aae kya mujh se fani ki surat ki pinhan hun dard-e-nihani ki surat bana hun wo main na-tawani ki surat ghazab hi khichi be-nishani ki surat khamoshi jo hai jqtiza-e-tabiat to un ko mili be-dahani ki surat nazar aae kya jalwa-e-husn baqi ki parda hai duniya-e-fani ki surat tum aur zikr-e-aghyar par chup rahoge kahe deti hai be-dahani ki surat hamare gale par to chalti dikhao kahan tegh mein hai rawani ki surat qayam apna us kucha mein pa-bigul hai mile khak mein hum to pani ki surat gudaz-e-dil-e-tishna ka man ghazab hai wo khanjar na bah jae pani ki surat barabar hai yahan bud-o-nabud apni nishan hai mera be-nishani ki surat araq-e-sharm se khaksari mein hun main hua khak bhi main to pani ki surat jo puchho to us chashm ka dekhna hai wo hai gardish aasmani ki surat duboya mujhe aab mein sharm se wo khade hain mere sar pe pani ki surat numud apni waqe mein kuchh bhi nahin hai yahan khwab hai zindagani ki surat wo dil ru-numai mein lete hain pahle dikhate hain jab jaan-sitani ki surat mujhe kushta dekha to qatil ne puchha yaqin hai yahan bad-gumani ki surat pade mar ke mitne ko hum thokaron mein magar kat gai zindagani ki surat zaban par hai qasid ki apni rasai hua hun payam zabani ki surat mujassam hi mauhum aane mein un ke nazar aati hai zindagani ki surat tere wade par zist hai marg apni bahut hi badhi na-tawani ki surat wo is shakl se meri baalin pe aae ki ek aafat aasmani ki surat nazar ban ke phirti hai aankhon mein apni kisi aalam-e-naujawani ki surat na ho rashk to kijiye wahan madh-e-dushman ki hai yar ki raaz-dani ki surat mujhe dekho aur us ke wade pe jina ye hai zinda-e-jawedani ki surat wahan bad-gumani ki tarif kya ho yaqin ho jahan bad-gumani ki surat nazar-soz wo rukh wo inkar behad magar hain wo ek lan-tarani ki surat dikhate hain wo rakh se yun naz pinhan ki alfaz jaise maani ki surat yahan kya samai dam-e-tegh qatil ki nazron mein hai sakht jaani ki surat jo naqsh-e-fana hon to wo dil pe 'anwar' khinchi aur ek bad-gumani ki surat