nazar ka apni nazariya badal ke dekh zara

nazar ka apni nazariya badal ke dekh zara
purani soch se aage nikal ke dekh zara

khuda ka 'aks har ek shakhs mein dikhega tujhe
khudi ke jal se bahar nikal ke dekh zara

tujhe har aadmi tujh se haqir dikhta hai
tu apne chashme ka number badal ke dekh zara

mera mazaq udane se pahle meri tarah
pahan ke panw mein zanjir chal ke dekh zara

tu sirf 'aql ka hi ai bashar ghulam na ban
kabhi to dil ke bhi kahne pe chal ke dekh zara

laga chuka hai bahut inqalab ke na're
ab ird-gird hi apna badal ke dekh zara

tujhe lagega tere dil ki tarjumani hai
tu padh ke she'r 'sada' ki ghazal ke dekh zara


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close