nazar kisi ko wo mu-e-kamar nahin aata ba-rang-e-tar-e-nazar hai nazar nahin aata zamana-e-gham-e-furqat basar nahin aata ajal bhi aati nahin yar agar nahin aata hamesha hun bhi main rota ba-rang-e-shabnam-o-abr gali se kaun tere chashm-tar nahin aata ye hai nigah se dar-parda tegh-zan qatil ki iltiyam ye zakhm-e-jigar nahin aata gham-e-firaq mein mar mar ke roz jita hun wo kaun shab hai jo munh tak jigar nahin aata faqat na nam se chalta hai kaam duniya mein ki zer-e-sikka kabhi gul ka zar nahin aata wo lad ke milte nahin mil ke hum pakadte nahin wo sulh karte nahin hum ko shar nahin aata firaq-e-zulf mein roz uth ke shab ko rota hun ki sar se gesu-e-shab ta-kamar nahin aata wo shah-e-husn khafa hoe 'arsh' kahta hai gira jo panw par kyun us ka sar nahin aata