nazar mein jab se teri chashm-e-kaif-amez hai saqi mujhe jam-e-sharab-e-nab se parhez hai saqi nigah-e-shauq ki hairaniyan badhti hi jati hain hazaron rang mein ye kaun jalwa-rez hai saqi idhar to jalwa-gar dil mein idhar poshida aankhon se ye nazdiki mein duri bhi tahayyur-khez hai saqi ye kya sujhi tujhe duniya-e-nau ki tarah-andazi jahan ka zarra zarra inqalab-angez hai saqi shahidan-e-mohabbat zinda-e-jawed hote hain wo amrit hai jo tera ghamza-e-khun-rez hai saqi kharabaat-e-do-alam ka mujhe mastana kahte hain mera dil baada-e-anwar se labrez hai saqi tera 'zaiq' na kyon nazan ho iqbaal par apne sawad-e-hind jis se sani-e-tabrez hai saqi