nazar mein khud ko basa do to koi baat bane wafa ke phul khila do to koi baat bane nazare pyar ke qisse suna rahe hain abhi tum apna chehra dikha do to koi baat bane andhera badhta hi jata hai dil ke raston mein wafa ke dip jala do to koi baat bane hazar baaten bana kar jo dil lubhate ho nazar nazar se mila do to koi baat bane kabhi to tum bhi mere ghar mein aa ke ai jaanam naqab rukh se hata do to koi baat bane kabhi to khwab mein aa ke qarib is dil ke tarana pyar ka ga do to koi baat bane ghazal ka nam jise de diya hai ai 'adil' tum us ka nam bata do to koi baat bane