nazar ne kar diya ghaeb dikhaya dil ne jo jalwa

nazar ne kar diya ghaeb dikhaya dil ne jo jalwa
bazahir hai jo binai haqiqat mein hai wo parda

use dhunden kahan koi nahin jis ka nishan koi
hujum-e-nur hai wo nur ka kya naqsh kya chehra

hue behosh sab ke sab hua jin par bhi zahir wo
to phir jalwa koi us ka bayan karta to kya karta

makin-e-har-makan kahiye ya kahiye la-makan us ko
hai har ghar mein nahin lekin kisi ghar mein sama sakta

wahi nazren wahi nazir wahi khud har nazara hai
ki hai kul qudrat-e-qadir karishma us ki wahdat ka

'sada' sab munhasir hai dekhne wali nigahon par
kisi ko hazir-o-nazir kisi ko hai guman lagta


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close