nazar nishane pe thi tir bhi kaman mein tha

nazar nishane pe thi tir bhi kaman mein tha
hawa chalegi achanak kahan guman mein tha

mujhe bhi karna wahi tha jo kar diya us ne
pe ek khauf-e-khuda tha jo darmiyan mein tha

zamin ka boya bhi kya aasman pe katna tha
kiye dhare ka natija isi jahan mein tha

hazar rang the jo dasht mein bhatakte the
aur ek lams badi der se machan mein tha

main ek umr falak par nazar jamae raha
palat ke dekha to wo mere hi makan mein tha

so khandan ki sari duaen meri thin
duaon ke liye bas main hi khandan mein tha

hamari umr thi 'sabir' dhuan udane ki
khabar nahin thi ki hasil to khak-dan mein tha


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close