nazron se basirat ki nihan kuchh bhi nahin hai sab kuchh hai jahan aur jahan kuchh bhi nahin hai hum mit gae is fitrat-e-ashufta ki khatir haalanki wo ghaarat-gar-e-jaan kuchh bhi nahin hai dil ki jo na kahiye to zaban kashif-e-asrar aur dil ki jo kahiye to zaban kuchh bhi nahin hai dil walon ko dil walon se hai harf-o-hikayat zahir mein mohabbat ka nishan kuchh bhi nahin hai rangin-o-nazar soz-o-manazir se guzar kar pahuncha hun wahan main ki jahan kuchh bhi nahin hai ye ishq ki zahir ho to hil jaen do-alam juz chand ishaaraat nihan kuchh bhi nahin hai mujh khugar-e-begani-e-dost ko 'ali' be-gangi-e-ahl-e-jahan kuchh bhi nahin hai