ne faqat tujh husn ki hai hind ki khuban mein dhum hai teri zulf-e-chalipa ki farangistan mein dhum kya karen pa-basta-e-ku-e-butan hain warna hum karte jun farhad o majnun dasht-o-kohistan mein dhum dekh tere munh ko kuchh aaina hi hairan nahin tujh rukh-e-raushan ki hai mahr-o-mah-e-taban mein dhum ai bahaar-e-gulshan-e-naz-o-nazakat har taraf tere aane se hui hai aur bhi bustan mein dhum sher kahna garche chhoda tu ne ai 'bedar' aaj kah ghazal aisi ki ho bazm-e-sukhan-sanjaan mein dhum