nigah-e-fitrat mein dar-haqiqat wo zindagi zindagi nahin hai jo dusron ke na kaam aae wo aadmi aadmi nahin hai kisi ke jalwon ka aks-e-rangin kabhi hai dil mein kabhi nahin hai main kis tarah man lun ki zauq-e-yaqin ki tujh mein kami nahin hai phir aur kya hai agar zawal-e-khudi-o-khud-agahi nahin hai dil-o-nazar ko ye kya hua hai kahin bhi aasudgi nahin hai zaban pe rindan-e-kam-nazar ki shikayat-e-saqi-e-azal hai talab siwa ho jo zarf dil se hawas hai wo tishnagi nahin hai jo qalb ko zindagi na bakhshe nazar ko kaif-o-khudi na bakhshe wo zauq-e-sajda hai nang-e-sajda ibaadat-o-bandagi nahin hai haqiqaton se gurez insan ka ek ehsas-e-kamtari hai hayat bakhshe jo zulmaton ko wo raushni raushni nahin hai mera tasawwur hai kaenati shuur mera jamaliyati mere khayal-o-nazar mein 'zauqi' koi bashar ajnabi nahin hai