nigah-e-shauq ko rukh par nisar hone do ye rang laegi kya kya bahaar hone do rahin-e-jazba-e-be-ikhtiyar hone do jo ho raha hai koi be-qarar hone do dil-e-hazin ko mere jalwa-zar hone do khizan-nasib chaman mein bahaar hone do dil-e-firaq-zada mein qarar hone do dam-e-ajal to nigahon ko chaar hone do karishme dekhna mar mar ke jine walon ke tum apne kuche mein mera mazar hone do tum apne wadon ki ifa karo umid nahin jahan mein husn ko be-e'tibar hone do shab-e-firaq mein lo chal basa tumhaara 'taj' qayam-e-hashr tak ab intizar hone do