nigah KHud pe Tiki thi to aur kya dikhta

nigah khud pe tiki thi to aur kya dikhta
jo khud-numa tha use kis liye khuda dikhta

dikhi na ka'be mein wa'iz tumhein jhalak us ki
hamein to but mein bhi hai jalwa-e-khuda dikhta

pada hai 'aql tumhaari pe munkiro parda
tumhein har ek karishma hai hadisa dikhta

hazar bar hai chashma badal ke dekh liya
hamein to zar bhi hai yaro turab sa dikhta

koi hai dhundh raha koh-o-dasht mein us ko
kisi ko dil hi mein jalwa hai tur ka dikhta

talab khuda se 'sada' thi talab khuda ki na thi
talab khuda ki jo hoti to ja-ba-ja dikhta


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close