nigahon ko zaban karna khamoshi ko bayan karna ayan karna bhi raaz-e-dil kabhi to yun ayan karna hawa-e-sud mein rahna na parwa-e-ziyan karna haqiqat mein hai saman-e-nashat-e-jawedan karna kashida ho gae tum jab kashish sabit hui dil ki samajh kar chahiye tha jazb-e-dil ka imtihan karna wafa ka zikr khud karna khilaf-e-rasm-e-ulfat hai subuk ho kar na pesh-e-dost bar-e-gham-garan karna ba-in be-dast-o-pai mil bhi jaega to kya hoga abas hai fikr-e-manzil mein talash-e-karwan karna mujhe teri raza marghub thi warna na tha mumkin jafa-e-dostan sahna sana-e-dushmanan karna unhen zid hai ki hain aazurda mujh se be-sabab warna nahin hai jurm kuchh zikr-e-jafa-e-asman karna sar-e-mimbar hai waiz mo'tariz kyon but-parasti par yahan lazim nahin mard-e-khuda zikr-e-butan karna kisi ka raaz itna qimti tha qalb-e-'bekhud' mein khamoshi ko zaruri ho gaya qufl-e-dahan karna