nikal kar zabt ki had se fughan tak baat ja pahunchi khabar bhi hai dil-e-nadan kahan tak baat ja pahunchi main izhaar-e-mohabbat kar ke un se khush nahin lekin chalo achchha hua gosh-e-giran tak ja pahunchi na ho saman-e-sairabi magar ye fakhr kya kam hai hamari pyas ki pir-e-mughan tak baat ja pahunchi dil-e-bad-zan ki ye mujh par karam-farmaiyan tauba jahan tak main nahin pahuncha wahan tak baat ja pahunchi nikal aae sitare meri uljhan ke tamashe ko zamin walon ki kyunkar aasman tak baat ja pahunchi zamane bhar mein charcha hai hamare khun-e-nahaq ka wahan tak hashr barpa hai jahan tak baat ja pahunchi unhen ai 'soz' ruswai ka apni kab khayal aaya nikal ke gunge dil se jab zaban tak baat ja pahunchi