nind aankhon mein musalsal nahin hone deta wo mera khwab mukammal nahin hone deta aankh ke shish-mahal se wo kisi bhi lamhe apni taswir ko ojhal nahin hone deta rabta bhi nahin rakhta hai sar-e-wasl koi aur talluq bhi moattal nahin hone deta wo jo ek shahr hai pani ke kinare aabaad apne atraf mein daldal nahin hone deta jab ki taqdir atal hai to dua kya mani zehn is falsafe ko hal nahin hone deta dil to kahta hai use laut ke aana hai yahin ye dilasa mujhe pagal nahin hone deta qarya-e-jaan pe kabhi tut ke barsen 'ruhi' zarf ashkon ko wo baadal nahin hone deta