nishat-e-manzil-e-qalb-o-nazar ko yaad karo safar mein apne kisi ham-safar ko yaad karo bade khulus se tarik raston pe chalo bade tapak se husn-e-sahar ko yaad karo jale charagh to chupke se nam lo mera mile khushi to meri chashm-e-tar ko yaad karo jo dil mein rah ke bhi anjaan si rahi barson kisi ki us nigah-e-fitna-gar ko yaad karo dil-e-hazin ka taqaza hai jada-e-gham mein nazar ke sath fareb-e-nazar ko yaad karo qadam qadam pe jahan zindagi nikharti thi kisi ke pyar ki us rahguzar ko yaad karo hai jis ke faiz se ab tak bhi raushni ghar mein 'rais' ab bhi usi chashm-e-tar ko yaad karo